Jab Har Nazar Ho KHud Hi Tajalli-numa-e-gham
jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham
phir aadmi chhupae to kaise chhupae gham
us waqt tak mili na mujhe lazzat-e-hayat
jab tak raha zamane mein na-ashna-e-gham
meri nigah-e-shauq hi gham ka sabab nahin
un ki nigah-e-naz bhi hai rahnuma-e-gham
sauda-e-ishq dard-e-mohabbat jafa-e-dost
hum ne KHushi ke waste kya kya uThae gham
shayad ye hai karishma fareb-e-nashat ka
ghabra ke aa gai hai labon par dua-e-gham
'farhat' ki har hansi mein hain aansu chhupe hue
us ki KHushi bhi oDhe hue hai rida-e-gham
(762) Peoples Rate This