Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_205b9d0a8c064c558b88c91fef344141, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aai KHizan Chaman Mein Gae Din Bahaar Ke - Farhat Qadri Poetry In English - Darsaal

Aai KHizan Chaman Mein Gae Din Bahaar Ke

aai KHizan chaman mein gae din bahaar ke

sharminda sab daraKHt hain kapDe utar ke

make-up se chhup sakengi KHarashen na waqt ki

aaina sari baaten kahega pukar ke

insan simaTta jata hai KHud apni zat mein

bandhan bhi khulte jate hain sadiyon ke pyar ke

phir kya karega rah ke koi tere shahr mein

raaten hi jab nasib hon raaten guzar ke

socha hai apne zaKHmon ke aangan mein baiTh kar

sajde karunga naqsh-e-tamanna ubhaar ke

tanhaiyon ka dard sameTe hue koi

'farhat' chala hai Thokaren duniya ko mar ke

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aai KHizan Chaman Mein Gae Din Bahaar Ke In English By Famous Poet Farhat Qadri. Aai KHizan Chaman Mein Gae Din Bahaar Ke is written by Farhat Qadri. Read famous Poem Aai KHizan Chaman Mein Gae Din Bahaar Ke for youth and Student by Farhat Qadri. Free Download Aai KHizan Chaman Mein Gae Din Bahaar Ke in PDF.