Ye Furqaton Mein Lamha-e-visal Kaise Aa Gaya
ye furqaton mein lamha-e-visal kaise aa gaya
mohabbaton mein phir naya ubaal kaise aa gaya
jise jahan ke mashghalon mein apna hosh bhi na tha
achanak aaj use mera KHayal kaise aa gaya
abhi talak to mere sare zaKHm the hare-bhare
yakayak un ko kar-e-indimal kaise aa gaya
judai ka bas ek pal giran tha zindagi pe jab
to darmiyan bahr-e-mah-o-sal kaise aa gaya
abhi talak thin waqt ki tanaben us ke hath mein
adam faraghaton ka phir sawal kaise aa gaya
mere zara se dard par taDap thi jis ki didani
use sitamgari ka ye kamal kaise aa gaya
'nadim' apni chahaton pe naz tha tumhein bahut
to phir tumhaare ishq par zawal kaise aa gaya
(833) Peoples Rate This