Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi
tha pahla safar us ki rifaqat bhi nai thi
raste bhi kaThin aur masafat bhi nai thi
dil tha ki kisi taur bhi qabu mein nahin tha
rah rah ke dhaDakne ki alamat bhi nai thi
jab us ne kaha tha ki mujhe ishq hai tum se
aankhon mein jo aai thi wo hairat bhi nai thi
sadiyon ke talluq ka guman hone laga tha
jab ki meri us shaKHs se nisbat bhi nai thi
waqif bhi nahin tha main kisi sud-o-ziyan se
us ishq ke saude mein shirakat bhi nai thi
KHwabon ke bikhar jaane ka dhaDka bhi laga tha
be-dari-e-shab ki mujhe aadat bhi nai thi
tabir kahan DhunDne jatin meri aankhen
un ko to kisi KHwab ki zahmat bhi nai thi
dil waqif-e-adab-e-mohabbat bhi nahin tha
duniya ke riwajon se baghawat bhi nai thi
phir main ki kisi nashe ka aadi bhi nahin tha
aur mere liye wasl ki lazzat bhi nai thi
yun kar-e-junun karna KHirad-mandon mein rah kar
jo Dali thi tum ne wo riwayat bhi nai thi
(976) Peoples Rate This