Na Daulat Ki Talab Thi Aur Na Daulat Chahiye Hai

na daulat ki talab thi aur na daulat chahiye hai

mohabbat chahiye thi bas mohabbat chahiye hai

saha jata nahin hum se gham-e-hijr-e-musalsal

zara si der ko teri rifaqat chahiye hai

tera didar ho aankhen kisi bhi samt dekhen

so har chehre mein ab teri shabahat chahiye hai

kiya hai tu ne jab tark-e-talluq ka irada

hamein bhi faisla karne ki mohlat chahiye hai

ye kyun kahte ho rah-e-ishq par chalna hai hum ko

kaho ki zindagi se ab faraghat chahiye hai

nahin hoti hai rah-e-ishq mein aasan manzil

safar mein bhi to sadiyon ki masafat chahiye hai

gham-e-jaanan ke bhi kuchh der to hum naz uTha len

gham-e-dauran se thoDe din ki ruKHsat chahiye hai

har ek apni zarurat ke tahat hum se hai milta

hamein bhi ab koi hasb-e-zarurat chahiye hai

hai jab se munakis chehra badalne ka wo manzar

hamari aaina-ankhon ko hairat chahiye hai

jo niklen aalam-e-wahshat se phir kuchh aur sochen

KHirad se rabte rakhne ko fursat chahiye hai

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Daulat Ki Talab Thi Aur Na Daulat Chahiye Hai In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Na Daulat Ki Talab Thi Aur Na Daulat Chahiye Hai is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Na Daulat Ki Talab Thi Aur Na Daulat Chahiye Hai for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Na Daulat Ki Talab Thi Aur Na Daulat Chahiye Hai in PDF.