Jo Tujhe Paikar-e-sad-naz-o-ada Kahte Hain
jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain
qadr-dan husn ke ye baat baja kahte hain
us ke chehre ki ziya se hai chamak suraj ki
us ki bikhri hui zulfon ko ghaTa kahte hain
wo jo aankhon se pilae to chalo pi lenge
waise hum pine pilane ko bura kahte hain
surKH hathon ki haqiqat to hami jaante hain
jo nahin jaante wo rang-e-hina kahte hain
baat achchhi hi wo karte hain hamare haq mein
jo hamare liye kahte hain baja kahte hain
saKHt pathrili zamin par bhi khilate hain gulab
sher hum kahte hain aur sab se siwa kahte hain
ye riwayat hai zamane ki nai baat nahin
hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain
aaj gahware mein baiThe hain sabhi ahl-e-adab
is faza hi ko mohabbat ki faza kahte hain
hum ne ki mashq-e-suKHan misra-e-'ghaalib' pe 'nadim'
log is bare mein ab dekhiye kya kahte hain
(938) Peoples Rate This