Ai Katib-e-taqdir Ye Taqdir Mein Likh De
ai katib-e-taqdir ye taqdir mein likh de
bas us ki mohabbat meri jagir mein likh de
de aisa junun jaisa diya qais ko tu ne
mujh ko bhi isi halqa-e-zanjir mein likh de
pane ka use KHwab jo dekha hai hamesha
wo KHwab hi bas KHwab ki tabir mein likh de
dil aisa makan hai jo agar TuT gaya to
lag jaengi sadiyan nai tamir mein likh de
milna hai agar KHud se to phir der na karna
kho jaane ka Dar hota hai taKHir mein likh de
sachchai mera jurm hai aur kar-e-wafa bhi
munsif hai to ye bhi meri tazir mein likh de
likh de ki main 'ghaalib' ka muqallid hun ghazal mein
phir nam mera mo'taqid-e-'mir' mein likh de
(1361) Peoples Rate This