Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fdc515d1e4db100ce1c1e0c5e39b8495, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum - Farhat Nadeem Humayun Poetry In English - Darsaal

Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum

ab zindagi ro ro ke guzarenge nahin hum

ye bojh to hai bojh utarenge nahin hum

tum KHud hi agar lauT ke aa jao to behtar

hargiz tumhein is bar pukarenge nahin hum

ek ishq ki bazi hi to hum haare hain us se

ai rah-e-talab hausla haarenge nahin hum

ye gesu-e-hasti ke sanwarne ki ghaDi hai

ab gesu-e-jaanan ko sanwarenge nahin hum

DhunDenge har ek chiz mein jine ki umangen

dil ki kisi KHwahish ko bhi marenge nahin hum

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Ab Zindagi Ro Ro Ke Guzarenge Nahin Hum in PDF.