Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_de01ed046bda10635da41e5b36fb7938, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Jalwa Sham-o-sahar Dekhte Hain - Farhat Kanpuri Poetry In English - Darsaal

Tera Jalwa Sham-o-sahar Dekhte Hain

tera jalwa sham-o-sahar dekhte hain

saliqe se shams-o-qamar dekhte hain

pahunchna hai dil tak nazar dekhte hain

kidhar dekhna tha kidhar dekhte hain

mohabbat ka un par asar dikhte hain

mila kar nazar se nazar dekhte hain

tujhe dekhne wale yun to bahut hain

magar hum ba-rang-e-digar dekhte hain

jo hain nukta-chin wo karen nukta-chini

jo ahl-e-hunar hain hunar dekhte hain

abhi tak to ji hum ne khoya nahin hai

abhi zabt-e-gham ka asar dekhte hain

unhen meri 'farhat' KHabar ho to kyunkar

jo aKHbar paDh kar KHabar dekhte hain

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Jalwa Sham-o-sahar Dekhte Hain In English By Famous Poet Farhat Kanpuri. Tera Jalwa Sham-o-sahar Dekhte Hain is written by Farhat Kanpuri. Read famous Poem Tera Jalwa Sham-o-sahar Dekhte Hain for youth and Student by Farhat Kanpuri. Free Download Tera Jalwa Sham-o-sahar Dekhte Hain in PDF.