Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f8b744f9c047db8bf965b702ac32c016, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Kuchh Bhi Hai Nazar Mein So Wahm-e-numud Hai - Farhat Kanpuri Poetry In English - Darsaal

Jo Kuchh Bhi Hai Nazar Mein So Wahm-e-numud Hai

jo kuchh bhi hai nazar mein so wahm-e-numud hai

aalam tamam ek tilism-e-wajud hai

aaraish-e-numud se bazm-e-jumud hai

meri jabin-e-shauq dalil-e-sujud hai

hasti ka raaz kya hai gham-e-hast-o-bud hai

aalam tamam dam-e-rusum-o-quyud hai

aks-e-jamal-e-yar se wahm-e-numud hai

warna wajud-e-KHalq bhi KHud be-wajud hai

ab kushtagan-e-shauq ko kuchh bhi na chahiye

farsh-e-zamin hai saya-e-charKH-e-kabud hai

hangama-e-bahaar ki allah re shoKHiyan

zagh-o-zaghan ka shor bhi saut-o-surud hai

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Kuchh Bhi Hai Nazar Mein So Wahm-e-numud Hai In English By Famous Poet Farhat Kanpuri. Jo Kuchh Bhi Hai Nazar Mein So Wahm-e-numud Hai is written by Farhat Kanpuri. Read famous Poem Jo Kuchh Bhi Hai Nazar Mein So Wahm-e-numud Hai for youth and Student by Farhat Kanpuri. Free Download Jo Kuchh Bhi Hai Nazar Mein So Wahm-e-numud Hai in PDF.