Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bacc24fe43caf54d2defd91523b9a29d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se - Farhat Kanpuri Poetry In English - Darsaal

Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se

ek KHalish si hai mujhe taqdir se

al-aman us KHar-e-daman-gir se

hasrat-e-nazzara ki tasir se

parda uTTha yar ki taswir se

sham-e-gham ke rone wale sabr kar

subh bhi hogi teri taqdir se

iddaa-e-zabt-e-gham karna paDa

tang aa kar aah-e-be-tasir se

mujh ko diwana samajh len ahl-e-hosh

kyun ulajhte hain meri zanjir se

dil nahin ek aabla sine mein hai

is nigah-e-garm ki tasir se

hoti hai taskin 'farhat' kuchh na kuchh

KHush hun apni aah-e-be-tasir se

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se In English By Famous Poet Farhat Kanpuri. Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se is written by Farhat Kanpuri. Read famous Poem Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se for youth and Student by Farhat Kanpuri. Free Download Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se in PDF.