Tarana-e-reKHta
sar chaDh ke bolta hai urdu zaban ka jadu
hindostan ki miTTi ke aasman ka jadu
hindostan ka jadu sare jahan ka jadu
sar chaDh ke bolta hai urdu zaban ka jadu
jap-jap jogiyon ka nara qalandaron ka
tahzib mahfilon ki aur shor mai-kadon ka
kuche mein dilbaron ke hangama aashiqon ka
mashuq ki nigah ke tir-o-kaman ka jadu
dariya hain 'mir'-o-'ghaalib' har lab pe jo rawan hain
'faiz' o 'firaq' aur 'dagh' har dil pe hukmaran hain
aur 'kirshn-chandr' 'manto' zinda kahaniyan hain
lafzon ke aaine mein husn-e-bayan ka jadu
duniya dil-e-ghazal mein mai-KHana ishq ka hai
har ruh wajd mein hai har jism mein nasha hai
mashuq bandagi hai mashuq hi KHuda hai
mandir ki ghanTiyon mein bole azan ka jadu
TuTe hue dilon ko joDe rafugari se
joDe tamam girhen jazbon ki sadgi se
rah jaen dost ban kar aaen jo ajnabi se
daem mohabbaton ke aab-e-rawan ka jadu
hindostan ka jadu sare jahan ka jadu
hindostan ka jadu urdu zaban ka jadu
hindostan ka jadu sare jahan ka jadu
sar chaDh ke bolta hai
(1137) Peoples Rate This