Tahrir Ki Fursat
Dakiya sare jahan ki KHabren
le kar aata hai magar mere liye
kitni aawazen mere sath chala karti hain
kabhi man bap ke rone ki sada
kabhi ahbab ke phaTte hue juton ki dukhan
kabhi duniya ke chaTaKHte hue aaza ki pukar
subh-ta-sham wahi ek shab ka aahang
dar o diwar pe uDti hui rahon ka ghubar
rakh-dani mein wahi saikaDon sochon ka dhuan
chae ki pyaliyan phenke hue lamhat ko lipTae hue
shelf mein dubke hue zehn ke na-poKHta-nuqush
mez par nisf KHaton ka ambar
kaun jaane unhen tahrir ki fursat kab ho?
(887) Peoples Rate This