BichhDe Ghar Ka Saya
subh-sawere
wo bistar se sae jaisi uThti hai
phir chulhe mein raat ki ThanDi aag ko
raushan karti hai
itne mein din chaDh jata hai
jaldi jaldi chae bana kar shauhar ko ruKHsat karti hai
sayyare gardish karte hain
shahr mein sahra sahraon mein chaTyal maidan
kohsaron ke nasheb-o-faraaz bana karte hain
sare ghar ko dhoti hai
kapDe tauliye tooth-brush bistar ki chadar
koi kitab uThati hai rakh deti hai
radio on kiya phir roka on kiya
phir koi purana KHat paDhti hai
(ghanTi baji)
maryam! aa jao
tum kaisi ho? wo kaise hain
kya us ka koi KHat aaya?
(thoDi KHamoshi ka waqfa)
tum kaisi ho
tum se matlab? sach kah dun to kya kar logi
dekho sab ki sab baiThi hon
achchha
achchha
(darwaza phir band ho gaya)
ab kya karna!
ghar to bilkul saf paDa hai
koi shikan bistar pe nahin hai
diwar-o-dar dhule-dhulae
koi dhabba ya makDi ka jala tinka
kahin kuchh nahin
kya karna hai!
uf! wo calendar
kitne baras ho gae phir bhi
aaen to un se kahti hun
bilkul naya calendar laen
kuchh bhuk nahin
ab kya karna hai
leT rahun? lekin kya leTun
jaane kitna leT chuki hun
khaDi rahun
han khaDi rahun
par main to kab se khaDi hui hun
khiDki ka parda hi kholun
dhup kahan tak aa pahunchi hai
lao apna album dekhun
nayyar shabnam shafaq subuhi aKHtar juhi
kaise honge
aan! ye main hun
itti pyari pyari thi main
main bilkul hi bhul gai thi
sab kitna achchha lagta tha
abba, amman, bhayya, appi
sab zinda the
saya nani gulshan aapa
han aur wo gaurayya baba
aansu naghme shor Thahake sare ek sur mein hote the
sari duniya ghar lagti thi
aman udhar bulaya kartin
abba udhar pukara karte
bhayya DanTte
appi Dheron pyar jatatin
khana, pina, sona, jagna, hansna, ruThna, manna
Dor bandhi thi
ek mein ek piroya hua tha
kal nammu ke ghar shadi hai
pas hi koi maut hui hai
college ki chhaTi kab hogi
id phir ab ki tis ki hogi
hum bhi lail-e-qadr jagenge
shahla ki mangni kyun TuTi?
kya iqbaal koi shaer tha?
chup baDke abba sun lenge
sae dauD rahe hain ghar mein
har goshe mein upar niche andar bahar dauD rahe hain
lambe chhoTe sabz o zard hazaron sae
bahar shahr mein koi nahin hai
dhup siyah paDti jati hai
qadd-e-adam aaine mein
us ka nanga jism khaDa hai
jism ke andar suraj ka ghuncha mahka hai
sayyare gardish karte hain
sab anjaane sayyaron mein bhule-bisre ghar raushan hain
kis lamhe ka hai ye tamasha
hast-o-bud ke sannaTe mein
la-maujud ki tariki mein
sirf yahi aaina raushan
sirf ek aks-e-guzishta raushan
bichhDe ghar ka saya raushan
(1201) Peoples Rate This