Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fe291fac7d5b2f405a8a187d97a0dfe7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamin Se Arsh Talak Silsila Hamara Bhi Tha - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Zamin Se Arsh Talak Silsila Hamara Bhi Tha

zamin se arsh talak silsila hamara bhi tha

ki chashm-e-KHak mein ek KHwab sa hamara bhi tha

tu apne ghar ki taraf moD le gaya hai jise

zamin se puchh ki ye rasta hamara bhi tha

ye sab charagh jalae hue hamare bhi hain

bala-e-shab ka kabhi samna hamara bhi tha

hamare panw bhi paDte na the zamin pe kabhi

kabhi kahin yahi taKHt-e-hawa hamara bhi tha

ye hain jo bagh mein bos-o-kanar ke manzar

gae dinon mein yahi mashghala hamara bhi tha

kisi ki zulf mein dekha to hum ko yaad aaya

ki ek phul usi rang ka hamara bhi tha

yahi sharab kabhi hum bhi KHub pite the

usi nashe mein sar uDta hua hamara bhi tha

zamin hilti thi yun hi hamare aane se bhi

isi tarah ka kabhi zalzala hamara bhi tha

jo ab tumhaare tasarruf mein hai miyan-'ehsas'

kabhi ye arsa-e-arz-o-saman hamara bhi tha

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Arsh Talak Silsila Hamara Bhi Tha In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Zamin Se Arsh Talak Silsila Hamara Bhi Tha is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Zamin Se Arsh Talak Silsila Hamara Bhi Tha for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Zamin Se Arsh Talak Silsila Hamara Bhi Tha in PDF.