Umr Be-wajh Guzare Bhi Nahin Ja Sakte
umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte
itne zinda hain ki mare bhi nahin ja sakte
haal ab ye hai ki dariya mein bhi lagta nahin ji
aur kisi ek kinare bhi nahin ja sakte
us jagah ja ke wo baiTha hai bhari mahfil mein
ab jahan mere ishaare bhi nahin ja sakte
zeb-tan itne kiye dil ne hawas ke malbus
ki shab-e-wasl utare bhi nahin ja sakte
nind se us ko jagana bhi zaruri hai bahut
raat-bhar us ko pukare bhi nahin ja sakte
sari shaklon se pare hai wo hamara mahbub
so tasawwur ke sahaare bhi nahin ja sakte
jitne ka na koi shauq na taufiq hamein
lekin is tarah to haare bhi nahin ja sakte
falak-e-ishq pe ta-der Thaharna hai muhaal
is bulandi se utare bhi nahin ja sakte
farhat-ehsas tujhe mana hai jaana us tak
kya tere KHun ke dhaare bhi nahin ja sakte
(779) Peoples Rate This