Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4c671925862b50397f0ae88e6670b940, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tah-e-badan Kahin Bedar Hota Jata Hun - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Tah-e-badan Kahin Bedar Hota Jata Hun

tah-e-badan kahin bedar hota jata hun

wo pas aata hai jitna main sota jata hun

zamin nikli chali ja rahi hai hathon se

main aasman-e-mohabbat mein khota jata hun

udhar wo mujh se gurezan hai mujh pe hanste hue

idhar main us ke taaqub mein rota jata hun

har ek lamha banate hain mujh ko hath us ke

wo karta jata hai mujh ko main hota jata hun

main kaenat ka mazdur ashraf-e-maKHluq

koi bhi kaam ho ek main hi jota jata hun

badan ki KHak to uD jaegi hawa main kahin

magar wo peD rahenge jo bota jata hun

wo tegh-e-kasrat-e-mani lagi taKHallus ko

ki do do 'farhat'-o-'ehsas' hota jata hun

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tah-e-badan Kahin Bedar Hota Jata Hun In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Tah-e-badan Kahin Bedar Hota Jata Hun is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Tah-e-badan Kahin Bedar Hota Jata Hun for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Tah-e-badan Kahin Bedar Hota Jata Hun in PDF.