Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ead0dbf7a2edd29c77191841ad800e52, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sahra Ke Sangin Safar Mein Aab-rasani Kam Na PaDe - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Sahra Ke Sangin Safar Mein Aab-rasani Kam Na PaDe

sahra ke sangin safar mein aab-rasani kam na paDe

sari aankhen bhar kar rakhna dekho pani kam na paDe

zehn-e-musalsal qisse sochen honTh musalsal zikr karen

subh talak zinda rahna hai kahin kahani kam na paDe

ishq ne saunpa hai mujh ko ek sahra ki tamir ka kaam

aur hidayat ki hai zarra bhar virani kam na paDe

meri shah-rag kaTi us ne aur kaha shoKHi ke sath

tu sachcha aashiq hai to phir dekh rawani kam na paDe

thoDa thoDa marta bhi rahta hun main jine ke sath

taki waqt-e-zarurat marne ki aasani kam na paDe

sajda karne ko hota hun ek bahut hi baDe but ka

aur phir sochta hun ye chhoTi si peshani kam na paDe

hamein chhupane ko duniya ne khol diye kapDon ke than

chaak-garebani ye tera zor-e-uryani kam na paDe

tum 'farhat-ehsas' bas apne aap ko marne mat dena

taki daftar-e-duniya mein daKHl-e-insani kam na paDe

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Ke Sangin Safar Mein Aab-rasani Kam Na PaDe In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Sahra Ke Sangin Safar Mein Aab-rasani Kam Na PaDe is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Sahra Ke Sangin Safar Mein Aab-rasani Kam Na PaDe for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Sahra Ke Sangin Safar Mein Aab-rasani Kam Na PaDe in PDF.