Sahib-e-ishq Ab Itni Si To Rahat Mujhe De
sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de
ghar bana ya dar-o-diwar se ruKHsat mujhe de
jaan ye sarkashi-e-jism tere bas ki nahin
meri aaghosh mein aa la ye musibat mujhe de
to faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri
tujh ko jab chahun bula lun ye ijazat mujhe de
ye teri bazm-e-badan yun to nahin chal sakti
ek shab ko hi sahi is ki nizamat mujhe de
aaine! main tera aaina-dar-aina hun
aaj tak ka mera sarmaya-e-hairat mujhe de
na milega tujhe mujh sa bhi tahi-dast murid
mere hisse ki jo ho daulat-e-baiat mujhe de
jaane kab hoga meri zat pe aap-apna nuzul
KHwab koi to kabhi meri bashaarat mujhe de
mere bhi ek ishaare mein ho mani ka hujum
aankh us ki jo kabhi dars-e-balaghat mujhe de
'farhat-ullah' ke khate mein na Dal aaine
'farhat-ehsas' hun main la meri surat mujhe de
(912) Peoples Rate This