Sab Mera Aab-e-rawan Kis Ke Ishaaron Pe Baha Jata Hai
sab mera aab-e-rawan kis ke ishaaron pe baha jata hai
aur ek shahr mere donon kinaron pe basa jata hai
mauj mein aate hi lag jati hai honThon pe badan ki miTTi
aur is zaiqa-e-ghair se sab mera maza jata hai
ahl-e-iman idhar aaraish-e-masjid mein lage hain aur udhar
apna saman uThae hue masjid se KHuda jata hai
koi mujh jaisa hi roz aata hai aankhon mein liye sabza-e-dasht
ek hara KHat dar-o-diwar ko deta hai chala jata hai
chalti hai aaine mein kitne zamanon ki hawa-e-hairat
ek rang aata hai chehre pe to ek rang uDa jata hai
meri ek umr aur ek ahd ki tariKH raqam hai jis par
kaise rokun ki wo aansu meri aankhon se gira jata hai
chaak karna hi gareban ka sikhaya hai junun ne mujh ko
main ne sikha hi nahin kaise gareban ko siya jata hai
'farhat-ehsas' ne dekha hai falak par kahin ek KHitta-e-KHwab
bech Dali hai tamam arz-e-badan us ne suna jata hai
(749) Peoples Rate This