Ruh Ko To Ek Zara Si Raushni Darkar Hai
ruh ko to ek zara si raushni darkar hai
jism ko lekin bahut kuchh aur bhi darkar hai
aaj phir hum se kiya daryaft koh-e-tur ne
is se kya kahte ki nur-e-gumrahi darkar hai
baad mein ishq-e-haqiqi bhi mayassar ho to kya
ye majazi to hamein fauran abhi darkar hai
ishq us KHwahish pe meri soch mein gum ho gaya
mujh ko pani bhi hai darkar aag bhi darkar hai
farhat-ehsas apni miTTi ka dhaDakta dil sambhaal
baad marne ke jo tujh ko zindagi darkar hai
(829) Peoples Rate This