Raste Humse Raaz Kahne Lage
raste hum se raaz kahne lage
phir to hum raston mein rahne lage
mere lafzon ko mil gai aankhen
sare aansu labon se bahne lage
shahr ke lafz kar diye wapas
apni zat apni baat kahne lage
hum abhi Thik se bane bhi na the
KHud se Takrae aur Dhahne lage
us ne talqin-e-sabr ki thi so hum
jo na sahna tha wo bhi sahne lage
hum ne miTTi ki beDiyan kaTin
toDa zindan-e-ab bahne lage
muzhda ai sakinan-e-shahr-e-suKHan
'farhat-ehsas' sher kahne lage
(749) Peoples Rate This