Paikar-e-aql Tere Hosh Thikane Lag Jaen
paikar-e-aql tere hosh Thikane lag jaen
tere pichhe bhi jo hum jaise diwane lag jaen
us ka mansuba ye lagta hai gali mein us ki
hum yunhi KHak uDane mein Thikane lag jaen
soch kis kaam ki rah jaegi teri ye bahaar
apne andar hi agar hum tujhe pane lag jaen
sab ke jaisi na bana zulf ki hum sada-nigah
tere dhoke mein kisi aur ke shane lag jaen
raat bhar rota hun itna ki ajab kya is mein
Dher phulon ke agar mere sirhane lag jaen
dasht karna hai hamein shahr ke ek goshe ko
to chalo kaam pe hum sare diwane lag jaen
'farhat' ehsas ab aisa bhi ek aahang ki log
sun ke ashaar tere nachne gane lag jaen
(1071) Peoples Rate This