Na-qabil-e-yaqin Tha Agarche Shurua Mein
na-qabil-e-yaqin tha agarche shurua mein
suraj magar ghurub hua tha tulua mein
mulla ko de diya hai namazon ka baqi kaam
KHud ko laga liya hai KHushu-o-KHuzua mein
sirf ek chehra ek hi nam ek hi KHayal
hota hai sab ke sath yahi sab shurua mein
itne halala-baz agar ghat mein na hon
kya aisa fasla hai talaq-o-rujua mein
shayad meri namaz yahin KHatm ho gai
ek umr ho gai ki ruka hun rukua mein
mohmal sahi pa tab-o-tawanai dekhiye
us ain se jo aai hai is aab-o-jua mein
urdu mein to bas ek wuzu aur ek namaz
do do namazen hoti hain arabi wuzua mein
aslen tamam nachti gati guzar gain
dekha nahin kisi ne wafur-e-furua mein
'ehsas' kya hai ye 'zafar' 'iqbaal' ki tarah
tausia ain sher ki hadd-e-wuqua mein
(815) Peoples Rate This