Meri MiTTi Ka Nasab Be-sar-o-samani Se
meri miTTi ka nasab be-sar-o-samani se
kaam kuchh us ko hawa se na talab pani se
mere atraf nigahon ki ye diwar na khinch
aur aawara hua jata hun nigarani se
apne aaine se toD aa ke mera aaina
apne aaine ko bhar kar meri hairani se
hum jo ek umr laga dete hain pas aane mein
kaise lamhon mein bichhaD jate hain aasani se
hai yahi waqt ki patthar se KHuda paida ho
dekh ab nur Tapakne laga peshani se
ishq ko hai yahi ek surat-e-izhaar nasib
jo bhi kahna hai kahe chaak-garebani se
shahr ho jata hai pahle to junun-e-nakaam
toDta hai phir ise sang-e-bayabani se
'farhat-ehsas' usi jahl se kar phir se rujua
tere haq mein yahi behtar hai hama-dani se
(812) Peoples Rate This