Mere Subut Bahe Ja Rahe Hain Pani Mein
mere subut bahe ja rahe hain pani mein
kise gawah banaun sara-e-fani mein
jo aansuon mein nahate rahe so pak rahe
namaz warna kise mil saki jawani mein
bhaDak uThe hain phir aaankhon mein aansuon ke charagh
phir aaj aag laga di gai hai pani mein
hamin the aaise kahan ke ki apne ghar jate
baDe-baDon ne guzari hai be-makani mein
ye be-kanar badan kaun par kar paya
bahe chale gae sab log is rawani mein
visal o hijr ki ek ek charagh the donon
siyah ho ke rahe shab ke be-karani mein
bas ek lams ki jal jaen sab KHas-o-KHashak
ise visal bhi kahte hain KHush-bayani mein
kahani KHatm hui tab mujhe KHayal aaya
tere siwa bhi to kirdar the kahani mein
na chahiye mujhe wo aasman jo mera na ho
main KHush hun apni hi miTTi ki aasmani mein
(816) Peoples Rate This