Main Apne Ru-e-haqiqat Ko Kho Nahin Sakta
main apne ru-e-haqiqat ko kho nahin sakta
wo KHwab dekh liya hai ki so nahin sakta
tamam paikar-e-bad-surati hai mard ki zat
mujhe yaqin hai KHuda mard ho nahin sakta
ab apna ghair hi ho lun ki koi rah khule
jo hona chahta hun wo to ho nahin sakta
baDa sahi pa hai na-jins aasman ka bij
ise main apni zaminon mein bo nahin sakta
phanse hue hain KHud apni hi bhiD mein aansu
main rona chahta hun aur ro nahin sakta
tum apne jism ke kuchh to charagh gul kar do
main raushni hun ziyaada to so nahin sakta
tumhaare zaKHm hain 'ehsas' aur miTTi ke
main aansuon se to ye zaKHm dho nahin sakta
(816) Peoples Rate This