Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_094721b4eaf11ac25dc82d19b98ef1d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Log Yun Jate Nazar Aate Hain Maqtal Ki Taraf - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Log Yun Jate Nazar Aate Hain Maqtal Ki Taraf

log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf

masale jaise rawana hon kisi hal ki taraf

main hun ek lafz tarasta hun magar mani ko

rashk se dekhta hun tabe-e-mohmal ki taraf

shahr wale hi kabhi khinch ke le aate hain

ji mera warna uDa phirta hai jangal ki taraf

be-KHabar haal se hun KHauf hai aainda ka

aur aankhen hain meri guzre hue kal ki taraf

wo udasi hai ki sab but se bane baiThe hain

koi halchal hai to bas shahr ke pagal ki taraf

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Yun Jate Nazar Aate Hain Maqtal Ki Taraf In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Log Yun Jate Nazar Aate Hain Maqtal Ki Taraf is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Log Yun Jate Nazar Aate Hain Maqtal Ki Taraf for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Log Yun Jate Nazar Aate Hain Maqtal Ki Taraf in PDF.