Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3c6b34c001c1f241403275bf847f715a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lage Hue Hain Zamane Ke Intizam Mein Hum - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Lage Hue Hain Zamane Ke Intizam Mein Hum

lage hue hain zamane ke intizam mein hum

kabhi KHawas mein shamil kabhi awam mein hum

pukarte hain buton ko KHuda ke nam se hum

gunah karte hain aur kitne ehtimam mein hum

phir us ka daKHl bhi kyun ho hamare kaamon mein

mudaKHalat nahin karte KHuda ke kaam mein hum

panah mangti hai dhaar tegh-e-mani ki

wo kaT rakhte hain alfaz-e-be-niyam mein hum

ab aaftab se mahtab ban gae honge

nazar na aaenge lekin ghubar-e-sham mein hum

nigah us ki meri samt chehra aur taraf

so chuk jate hain andaza-e-salam mein hum

meri namaz ki raftar par nazar rakkho

ruku-o-sajde mein hain aur na hain qayam mein hum

sabhi samaaten aankhon ko khol kar rakhen

chamak uThenge achanak kisi kalam mein hum

achanak aate hain girdab jaise dariya mein

ek inqalab ki aankhen liye awam mein hum

KHud apne jism ki be-hurmati bhi karte rahe

fana bhi hote rahe koshish-e-dawam mein hum

hamein bhi daKHl hai kuchh kar-gah-e-alam mein

har ek kaam ke bahar har ek kaam mein hum

hamara nam to hai qais-e-sakin-e-sahra

pukare jate hain 'ehsas' urf-e-am mein hum

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lage Hue Hain Zamane Ke Intizam Mein Hum In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Lage Hue Hain Zamane Ke Intizam Mein Hum is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Lage Hue Hain Zamane Ke Intizam Mein Hum for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Lage Hue Hain Zamane Ke Intizam Mein Hum in PDF.