Kuchh Bhi Na Kahna Kuchh Bhi Na Sunna Lafz Mein Lafz Utarne Dena
kuchh bhi na kahna kuchh bhi na sunna lafz mein lafz utarne dena
miTTi ka ye pyala apne aab-e-hayat se bharne dena
main bhi mahz ek jism nahin hun tum bhi mahz ek ruh nahin ho
jism-o-ruh ke aks ko un ke aaine mein utarne dena
apne jism ke aaine se har KHaki chilman ko haTa kar
samne baiThe rahna mere ruh ko meri sanwarne dena
sirf hawa-e-mohabbat hun main aaunga aur guzar jaunga
bas itna karna mujh ko apne andar se guzarne dena
aur kisi sahil par ja kar ubharunga ek aur badan mein
miTTi chhoD raha hun main mujh ko dariya mein utarne dena
tez hawa-e-taghaful ho tum main hun gard-o-ghubar-e-mohabbat
KHub maza aaega mujh ko samne apne bikharne dena
is 'ehsas' ko mat uljhana kisi bhi bahs-e-fana-o-baqa mein
jina chahe to jine dena marna chahe to marne dena
(837) Peoples Rate This