Kis Saliqe Se Wo Mujh Mein Raat-bhar Rah Kar Gaya
kis saliqe se wo mujh mein raat-bhar rah kar gaya
sham ko bistar sa khola subh ko tah kar gaya
waqt-e-ruKHsat tha hamare bahar andar itna shor
kuchh kaha tha us ne lekin jaane kya kah kar gaya
qatl hote sab ne dekha tha bhare bazar mein
ye na dekha KHun mera kis ki taraf bah kar gaya
Dubna hi tha so Duba chand us ke wasl ka
raat ko lekin hamesha ki shab muhayya kar gaya
sirf miTTi ho ke rahne mein tahaffuz hai yahan
jis ne koshish ki makan hone ki bas Dhah kar gaya
chaal jab bhi mil nahin pai zamin ki chaal se
kaisa kaisa sar-buland aaya tha aur Dhah kar gaya
dukh ka aaina ulaT deta hai har 'ehsas' ko
KHush gaya itna hi koi jitne dukh sah kar gaya
(906) Peoples Rate This