KHilaf-e-gardish-e-mamul Hona Chahta Hun
KHilaf-e-gardish-e-mamul hona chahta hun
madad kar shahr-e-na-maqbul hona chahta hun
chalo apni taraf se band kar lo meri aankhen
main apne aap mein mashghul hona chahta hun
tere qadmon pe rakh di dekh ye dastar main ne
ki apne aap se mazul hona chahta hun
main rahna chahta hun tere daman se lipaT kar
so tere raste ki dhul hona chahta hun
sada-e-lams-e-lab de bhi ki main ghuncha suKHan ka
bahut din ho gae ab phul hona chahta hun
tawajjoh hun magar markuz duniya par hun kab se
ab aap apni taraf mabzul hona chahta hun
badan ke hath ka likkha hua hun ishq-nama
aur apni ruh ko mausul hona chahta hun
mujhe ghar bhi chalana hai ab apna 'farhat-ehsas'
to kuchh din ke liye maqul hona chahta hun
(785) Peoples Rate This