Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7a76e3b8f2593fad3f9d2634037265e5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHak Hai Mera Badan KHak Hi Us Ka Hoga - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

KHak Hai Mera Badan KHak Hi Us Ka Hoga

KHak hai mera badan KHak hi us ka hoga

donon mil jaen to kya zor ka sahra hoga

phir mera jism meri jaan se juda hai dekho

tum ne Tanka jo lagaya tha wo kachcha hoga

tum ko rone se bahut saf hui hain aankhen

jo bhi ab samne aaega wo achchha hoga

roz ye soch ke sota hun ki is raat ke baad

ab agar aankh khulegi to sawera hoga

kya badan hai ki Thaharta hi nahin aankhon mein

bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Hai Mera Badan KHak Hi Us Ka Hoga In English By Famous Poet Farhat Ehsas. KHak Hai Mera Badan KHak Hi Us Ka Hoga is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem KHak Hai Mera Badan KHak Hi Us Ka Hoga for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download KHak Hai Mera Badan KHak Hi Us Ka Hoga in PDF.