KhaDi Hai Raat Andheron Ka Azhdaham Lagae
khaDi hai raat andheron ka azhdaham lagae
aur ek raushni baiThi hai apna kaam lagae
ye kam nahin ki KHarida usi pari ne hamein
agarche us ne bahut kam hamare dam lagae
main aaftab-zada hun kahan hai zulf us ki
ki aae aur meri aankhon pe apni sham lagae
main aaya kaam kiya apna aur chal bhi diya
zamana baiTha raha apna tam-jham lagae
na jaane kitne zamanon ki muntazir aankhen
rah-e-umid pe baiThi hui hain jam lagae
chaman mein us ne lagae hamare nam ke phul
to hum ne safha-e-hasti pe us ke nam lagae
magar main chhuT gaya mere zor-e-dasht ki KHair
tamam shahr raha qufl-e-intizam lagae
hamari bari ab aani hai kuza-gar se kaho
ki rang shoKH kare KHub KHak KHam lagae
mulazmat jo mili daftar-e-fana mein mili
phire the hum jo bahut arzi-e-dawam lagae
bana hai shahr ka sarmaya-kar yun 'ehsas'
ki ek halal lagane mein sau haram lagae
(796) Peoples Rate This