Kabhi KHuda Kabhi Insan Rok Leta Hai
kabhi KHuda kabhi insan rok leta hai
main jab bhi jata hun darban rok leta hai
baghair chaak kiye ghar se main agar niklun
to mujh ko mera gareban rok leta hai
main jab bhi jism se izn-e-widaa mangta hun
wo kah ke mujh ko meri jaan rok leta hai
bas ek jast mein duniya ke par utar jaun
magar mujhe mera saman rok leta hai
bahana chahiye mujh ko bhi koi rukne ka
so wo ba-hila-e-asan rok leta hai
main apne kufr se sharminda hun ki us ki taraf
mere qadam mera iman rok leta hai
farar ho gai hoti kabhi ki ruh meri
bas ek jism ka ehsan rok leta hai
kabhi to aaenge 'ehsas-ji' ki baiat mein
hamein yahi bas ek imkan rok leta hai
(840) Peoples Rate This