Kabhi Hanste Nahin Kabhi Rote Nahin Kabhi Koi Gunah Nahin Karte
kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte
hamein subh kahan se mile ki kabhi koi raat siyah nahin karte
hathon se uThate hain jo makan aankhon se giraate rahte hain
sahraon ke rahne wale hum shahron se nibah nahin karte
bekar si miTTi ka ek Dher bane baiThe rahte hain hum
kabhi KHak uDate nahin apni kabhi dasht ki rah nahin karte
ji mein ho to dar par rahte hain warna aawara phirte hain
hum ishq us se karte hain magar koi ba-tanKHwah nahin karte
ye tera mera jhagDa hai duniya ko bich mein kyun Dalen
ghar ke andar ki baaton par ghairon ko gawah nahin karte
(829) Peoples Rate This