Kaba-e-dil Dimagh Ka Phir Se Ghulam Ho Gaya
kaba-e-dil dimagh ka phir se ghulam ho gaya
phir se tamam shahr par ishq haram ho gaya
main ne to apne sare phul us ke chaman ko de diye
KHushbu uDi to ek zara mera bhi nam ho gaya
yar ne meri KHak-e-KHam rakh li KHud apne chaak par
main to safar pe chal paDa mera to kaam ho gaya
jab bhi hui azan-e-wasl hum ne bichhai ja-namaz
hijr ka ek pasban baDh ke imam ho gaya
sare hawas ke charagh so gae intizar mein
ishq to barqarar hai shauq tamam ho gaya
(815) Peoples Rate This