Kaam Un Aankhon Ki Hawasnaki Ki Sazish Aa Gai
kaam un aankhon ki hawasnaki ki sazish aa gai
aaKHir un parhez-gar aankhon ko KHwahish aa gai
main to samjha tha ki hum donon akele hain magar
us ko chhute hi hamare beach KHwahish aa gai
hum bahut KHush the magar ek din hamare darmiyan
kuchh alag se aur KHush hone ki koshish aa gai
baadalon ki tarah Takrae the do jism aur phir
bijliyan kaDkin aur us ke baad barish aa gai
us se milne ki koi surat nikalti hi na thi
aur tabhi dil ke ali-gaDh ki numaish aa gai
hum tasawwuf ke hue aalim tasawwuf chhoD kar
dil mohabbat se hua KHali to danish aa gai
farhat-ehsas aur asma ho gae ahl-e-nigah
dekhte hi dekhte yushi ko binish aa gai
(896) Peoples Rate This