Jis Tarah Paida Hue Us Se Juda Paida Karo
jis tarah paida hue us se juda paida karo
KHud ko apni KHak se bilkul naya paida karo
shahr ke in aaina-KHanon mein phirna hai fuzul
chahiye chehra to apna aaina paida karo
yar sajdon ka bhi kuchh mear hona chahiye
pahle ja kar Dhang ka koi KHuda paida karo
is hujum-e-shahr mein us tak pahunchna hai muhaal
ab to andar hi se koi rasta paida karo
taki ek ghar mein rahe to dusra mahfil mein ho
'farhat-ehsas' apne jaisa dusra paida karo
(745) Peoples Rate This