Jis Ko Jaisa Bhi Hai Darkar Use Waisa Mil Jae
jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae
tu mayassar ho mujhe aur tujhe duniya mil jae
sang se sang ke Takrane ka manzar dekhun
kabhi aisa ho ki tujh ko koi tujh sa mil jae
ye dhaDakta hua dil us ke hawale kar dun
ek bhi shaKHs agar shahr mein zinda mil jae
saKHt sardi mein ThiThurti hai bahut ruh meri
jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae
shahr ki bhiD mujhe tera bulawa manzur
shart ye hai mera khoya hua sahra mil jae
tu KHuda hai to mujhe kufr mein mustahkam kar
ki mujhe raaz-e-sanam-KHana-e-duniya mil jae
hum to bas dhup ki shiddat mein kami chahte hain
kab kaha hai ki kahin rah mein saya mil jae
apne aaina-e-tauhid mein allah-miyan
dekhte rahiye koi aap hi jaisa mil jae
fasl-e-sher aai hai bazar-e-suKHan mein dekh aao
farhat-ehsas bhi shayad koi taza mil jae
(1019) Peoples Rate This