JhagDe KHuda Se Ho Gae Ahd-e-shabab Mein
jhagDe KHuda se ho gae ahd-e-shabab mein
tab se gire paDe hain jahan-e-KHarab mein
kab ka wo ja chuka tha khuli aankh jab meri
main us ko dekhta hi raha jaise KHwab mein
rangini-e-libas ka jamm-e-ghafir hai
shayad ki main na aaun tere intiKHab mein
mujh par zakat husn-e-suKHan ki hui hai farz
shamil hua hun sher ke ahl-e-nisab mein
uTTho ki aaina bhi kahin ka kahin gaya
rah jaoge yahin jo rahoge hijab mein
shayad qalam dawat ki fursat na ho use
mere hi KHat ko bhej diya hai jawab mein
chhup-chhup ke dekhta tha taghaful ki aaD mein
us ne barat liya hai mujhe ijtinab mein
wo sham-e-intizar ki lau kar gaya mujhe
main raushni-e-taba se hun pech-o-tab mein
aain hawaen dur se bagh-e-bahisht ki
KHushbu bhi aai der se kar-e-sawab mein
aaina-e-nigah mein talim aur thi
bar-aks ho gaya jo likha tha kitab mein
main rahne wala sham o sahar ke pare ka hun
Dala gaya hun sham o sahar ke hisab mein
is be-hisi ke bich mein 'ehsas' ki ghazal
dekho to ye sukut suKHan ke jawab mein
(1057) Peoples Rate This