Is Tarah Aata Hun Bazaron Ke Beach
is tarah aata hun bazaron ke beach
jaise nind aa jae bedaron ke beach
main musalsal multawi hota hua
har ghaDi har gam tayyaron ke beach
laDkhaDane lagti hain sansen meri
har-nafas har haal hamwaron ke beach
yaad sahra ki hujum-e-shahr mein
zindagi ka KHwab bimaron ke beach
KHud-ba-KHud band-e-qaba khulte hue
hairat-e-iqrar inkaron ke beach
hum KHud afsane ke bahar ho gae
mar hi jate aise kirdaron ke beach
hum alam-bardar apne jehl ke
maktabon ke ilm-bardaron ke beach
'farhat-ehsas' aa gaya kya bazm mein
sadgi aai hai hoshyaron ke beach
(754) Peoples Rate This