Humne Parind-e-wasl Ke Par KaT Dale Hain
hum ne parind-e-wasl ke par kaT Dale hain
jazbaat uTha rahe the jo sar kaT Dale hain
likhni thi hum ko ek nai dastan-e-hijr
sab waqiat-e-dida-e-tar kaT Dale hain
baiThi rahe usi qafas-e-unsari mein ab
tegh-e-badan ne ruh ke par kaT Dale hain
ab sher zor-e-be-hunari se likhenge hum
duniya ne sare dast-e-hunar kaT Dale hain
ji chahta hai dast-e-taraqqi ko kaT dun
jis ne hamare sare shajar kaT Dale hain
naqqad-e-KHushk-zauq ke ghar ho raha hai jashn
aaj us ne sare misra-e-tar kaT Dale hain
shamen mukashfat-e-badan ki jalani thin
sab marifat ke tar-e-nazar kaT Dale hain
(879) Peoples Rate This