Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2526205ce6b84da2cab4be9b8c5ba01a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Ko Bara-e-duniya Be-jaan Kar Diya Hai - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Hum Ko Bara-e-duniya Be-jaan Kar Diya Hai

hum ko bara-e-duniya be-jaan kar diya hai

kya ishq tu ne jina aasan kar diya hai

phir hum ne raste ka koi usul toDa

phir waqt ne hamara chaalan kar diya hai

sina phula ke aise masjid se aa rahe hain

allah-miyan pe jaise ehsan kar diya hai

miTTi ko apni miTTi pani ko apna pani

sarmaya aab-o-gil ka sab dan kar diya hai

tu ne hamare fani hone ki laj rakh li

aab-e-hayat miTTi mein san kar diya hai

sahil ki bastiyon ka sara ghamanD TuTa

sailab ne tamancha jab tan kar diya hai

sukhe labon pe us ne Tapkaya aab-e-bosa

aur wo bhi apne honThon se chhan kar diya hai

tum soch mein paDe ho to sochte raho tum

hum ne to ishq apna elan kar diya hai

hum ne to zaKHm apne likh likh ke rakh liye the

yaron ne jama kar ke diwan kar diya hai

hum chahte the apna karna use to us ne

hum ko hi apne ghar ka darban kar diya hai

duniya ne kuchh na chhoDa juz ek 'farhat-ehsas'

har ek farhat-ullah ko KHan kar diya hai

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Bara-e-duniya Be-jaan Kar Diya Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Hum Ko Bara-e-duniya Be-jaan Kar Diya Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Hum Ko Bara-e-duniya Be-jaan Kar Diya Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Hum Ko Bara-e-duniya Be-jaan Kar Diya Hai in PDF.