Hum Apna Ism Le Kar Shahr-e-sifat Se Nikle
hum apna ism le kar shahr-e-sifat se nikle
phir marifa-o-nakra sare lughat se nikle
lafzon mein us ne apne aaine rakh diye the
parda-nashin ke sare aks us ke KHat se nikle
kya rasti hamari apni kaji se nikli
hum kya durust ho kar apne ghalat se nikle
kaj-fahmiyon ne jitni hajwen likhin hamari
hum utne hi ziyaada apni likhat se nikle
bahar gali mein bhaari fauj-e-KHuda paDi thi
hum kafir-e-mohabbat na-chaar chhat se nikle
hum jo bacha bacha ke rakhte rahe the KHud ko
kangal ho ke aaKHir apni bachat se nikle
kaTa gaya tha hum ko ek KHas zawiye se
ye sher sab qalam ke us KHas qat se nikle
becha hai kauDiyon ke mol apna mal sara
aur is tarah KHud apni baDhti khapat se nikle
sufi the hum magar the ruhaniyat ke qaidi
aaKHir ko apni miTTi ki marifat se nikle
jughrafiya thin ya phir tariKH sari jihatan
hum ho ke 'farhat-ehsas' apni jihat se nikle
(955) Peoples Rate This