Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_964344597c37e80c8fa4e50c5be3d160, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Gali Kuche Mein Rone Ki Sada Meri Hai - Farhat Ehsas Poetry In English - Darsaal

Har Gali Kuche Mein Rone Ki Sada Meri Hai

har gali kuche mein rone ki sada meri hai

shahr mein jo bhi hua hai wo KHata meri hai

ye jo hai KHak ka ek Dher badan hai mera

wo jo uDti hui phirti hai qaba meri hai

wo jo ek shor sa barpa hai amal hai mera

ye jo tanhai barasti hai saza meri hai

main na chahun to na khil pae kahin ek bhi phul

bagh tera hai magar baad-e-saba meri hai

ek TuTi hui kashti sa bana baiTha hun

na ye miTTi na ye pani na hawa meri hai

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gali Kuche Mein Rone Ki Sada Meri Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Har Gali Kuche Mein Rone Ki Sada Meri Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Har Gali Kuche Mein Rone Ki Sada Meri Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Har Gali Kuche Mein Rone Ki Sada Meri Hai in PDF.