Har Ek Jaanib Un Aankhon Ka Ishaara Ja Raha Hai
har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai
hamein kin imtihanon se guzara ja raha hai
kinare ko bachaun to nadi jati hai mujh se
nadi ko thamta hun to kinara ja raha hai
main Duba ja raha hun un sadaon ke bhanwar mein
mujhe ab chaaron jaanib se pukara ja raha hai
taaqub mat karo us ke badan ki raushni ka
ki ye to sirf us ka istiara ja raha hai
ye sara khel fath-e-shah ka hai jis ki KHatir
pyaadon jaise insanon ko haara ja raha hai
ab us ruKHsar ka til hai alamat us bhanwar ki
jahan sara samarqand-o-buKHara ja raha hai
mere ashaar hain wo aasmani KHwab jin ko
meri miTTi ke honThon par utara ja raha hai
wahin chashm-o-lab-o-ruKHsar bhi jate hain us ke
jahan ye husn ka sara idara ja raha hai
main sahil ho gaya hun jab se wo dariya hua hai
nazar Thahri hui hai aur nazara ja raha hai
to kya ye wasl ki shab hai ki jab ghar se bichhaD ke
na jaane kis ke ghar mera sitara ja raha hai
alam-bardar tanhai tha apna 'farhat-ehsas'
hujum-e-shahr ke hathon jo mara ja raha hai
(1724) Peoples Rate This