Hamein Jab Apna Taaruf Karana PaDta Hai
hamein jab apna taaruf karana paDta hai
na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai
ab aa raha ho koi jism is tasawwuf se
to hum ko halqa-e-baiat baDhana paDta hai
kisi ko nind na aati ho raushni mein agar
to KHud charagh-e-mohabbat bujhana paDta hai
bahut ziyaada hain KHatre badan ki mahfil mein
par apni ek hi mahfil hai jaana paDta hai
KHuda hai qadir-e-mutlaq ye baat khulti hai tab
jab us se kaam koi kafirana paDta hai
bahut ziyaada KHushi se wafat pa gaya ho
to aise dil ko dukha kar jilana paDta hai
hamare pas yahi shairi ka sikka hai
ulaT-palaT ke isi ko chalana paDta hai
suna hai tum mere dil ki taraf se guzre the
isi taraf to mera karKHana paDta hai
ajib tarz-e-taghazzul hai ye miyan 'ehsas'
ki jism-o-ruh ko ek sur mein gana paDta hai
(822) Peoples Rate This