Hadd-e-badan Mein Meri Zat Aa Nahin Rahi Hai
hadd-e-badan mein meri zat aa nahin rahi hai
bhagi hui hai aisi hath aa nahin rahi hai
ek sath kar raha hun itni bahut si baaten
honThon pe kahne wali baat aa nahin rahi hai
suraj mera paDa hai aankhon ke raste mein
din Dhal chuka hai kab ka raat aa nahin rahi hai
bazar mein ghira hun aur shor ho raha hai
meri samajh mein koi baat aa nahin rahi hai
duniya se baat kar ke bad-zat ho gaya main
ab mere ghar meri hi zat aa nahin rahi hai
jis raat farhat-ehsas apni hadon se nikle
wo man ki kokh jaisi raat aa nahin rahi hai
(739) Peoples Rate This