Ghar Mein Chizen BaDh Rahi Hain Zindagi Kam Ho Rahi Hai
ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai
dhire dhire ghar ki apni raushni kam ho rahi hai
shahr ke bazar ki raunaq mein dil bujhne lage hain
KHub KHush hone ki KHwahish mein KHushi kam ho rahi hai
ab kisi ko bhi chhuo lagta hai pahle se chhua sa
wo jo thi pahle-pahal ki sansani kam ho rahi hai
tai-shuda lafzon mein karte hain hum izhaar-e-mohabbat
ab to pahle ishq mein bhi an-kahi kam ho rahi hai
le gaya ye shahr us ko mere pahlu se uTha kar
mujh ko lagta hai meri diwangi kam ho rahi hai
husn ka bazar aana jaana bhi kuchh baDh raha hai
kuchh meri aankhon ki bhi pakizgi kam ho rahi hai
waqt DanDi marta hai tolne mein mera hissa
din bhi chhoTe paD rahe hain raat bhi kam ho rahi hai
shahr ki koshish ki KHud ko aur pechida bana le
meri ye tashwish meri sadgi kam ho rahi hai
sahilon ki bastiyan ye dekh kar KHamosh kyun hain
bastiyon ke phailne se hi nadi kam ho rahi hai
sham aate hi tumhein rahti hai ghar jaane ki jaldi
'farhat-ehsas' in dinon aawargi kam ho rahi hai
(883) Peoples Rate This